Try These exercises to Improve blood Circulation in the Body:
Hamri body ma dardoo ki aik waja slow blood circulation hai. Body kay mukhtlif azaa our pathoo ko blood ki matlooba miqdaar nahi milti jis ki waja se in ma dard hony lagta hai lakin agar aap nichy di gi Exercise try karin to aap in masaail se chutkara hasil kar sakty hain.
- Strech
Mahreen Seht ka kehna hai ka subho uthty he sab se pehle apny jism ko Stech karna chahiye kyok is trha body k pathoo par dabao parhta hai or blood ka dabao thek rehta hai.
- Joint Exercise
Blood ka doraniye ko brhany ka liye joint ki warzish boht mufeed hoti hai. apny feet ka bhal khary ho jain our phir panjoo par khare hoty howe apny tamam jism ka wazan an par dalain or 3 second tak is position ma rahin. yeh amal 10 bar dohrain, is exercise se aap ki pandliyoo kay pathoo par dabao aye ga or yaha blood ka doraniyaa bhar jaye ga jo k aap ki legs pain ko thek kare ga.
- Sit ups
Apny din ka aghaz sit ups se karain our kam az kam 10 sit ups lagain. Is se aap ka Blood circulation thek rahy ga our ghtnoo ma dard khatam hojye ga.
- Swimming
Jism ka doran khoon ko bhrhany k liye swimming boht mufeed hai, is ki waja se Heart or lugs ko Oxygen milti hai our aap fresh ho jaty hain.
- Walk our Running
App ko chahiye ka door lagain, agar aisa nai kar sakty to walk zaroor karian, Subho ki walk ko apni pukhta adat bana lain. Is ki waja se aap ka depression khtam hojye ga. Kam az kam 20 minutes ki walk karny se aap fresh rahy gy.
- Cycling
Cycle chalny se bhi blood circulation taiz hota hai our body kay tamam ajzaa ko khoon ki wafar supply milti hai jis se pains ma kami hogi.
Post A Comment:
0 comments: