Haldi ka insani health k liye ahm tareen faida:
Agar aap yadasht ka masla dar paish ha to jaldi se apny food ma haldi k istemal ko barha dain. kuch dino pehle ki gai tehqeeq main yeh baat samny ai ha k jo loog apny breakfast main haldi ka use karty hain in ki memory behtar rehti ha. Australia ki Monash University ki janab se ki gai tehqeeq main yeh baat samny ai k jo loog apny breakfast ma 1 garam haldi ka use karty thy, in ki weak memory ma kafi behtari dekhny ma aai.
Tehqeeq karoo ka kehna ha k jo loog diabetes ki waja se weak memory jaise problem ka shikaar hoo in k liye zaroori ha k woh haldi ka use karain is tarha in ki memory ma behtari aye gi. Australia ma ki gai tehqeeq main 48 men and women ko jin ki age 60 year se zayada thi our jin main hal he main diabetes ka inkeshaaf howa tha in ko 1 gram haldi bread k sath breakfast ma di gai or 2nd group ko daar cheeni bread k sath di gai. yeh baat samny ai k jo loog haldi kha rahy thy in ki memory ma behtari dekhi gai jabky jo loog dar cheeni kha rahy thy un ma koi behtari nazar na aai.
Nice to read this article will be very helpful in the future, share more info with us. Good job! Doc
ReplyDelete