Some Suggestions to get rid from Hair Dandruff in Urdu Hindi
Sir ki khushki ka masla hamain zindagi main kabhi na kabhi zaror dar pesh rehta ha our is ki kai wajohaat hain. kuc logoo ko sir main fungus ki waja se yeh masla ho jata ha jabkay hamari khany peeny ki adaat our fazaai alodgi bhi dandruff ki ahm wajoohat main shamil hain. aap ko chand batain bataty hain jin par amal kar k aap sir ki khushki ko door bhaga sakty hain.
- Zeeton Olive oil sir ka dandruff k liye booht mufeed ha. afar aap week ma 2 dafa zeeton k oil ki malish karain to aap is masly se nijaat paa sakty hain. agar raat ko zetoon ka oil lagain to sir dhaanmp kar soye taky yeh achi tarha sir ki jild ma jazab ho jaye.
- Kuch Neem k leaf ly kar inhain adhy ghanty tak paani main boil karain, is k baad inhain achi trha pees kar yeh paste sir main lagain or 40 minutes bad sir dho lain.
- Sir ko Shampoo or Conditioner se wash karny k bad Apple k Vinegar kay few drops sir pe lagain. Vinegar main mojood potassium sir ki jild k liye booht mufeed ha our yeh murdaa khuliyoo se sir ki jild ko najaat dain gy.
- Meethi k beejh raat ko paani ain bheego dain our subhoo pees kar ise sir par lape karain our half hour tak laga rehny dain, phir neem gharm water se dhoo lain. yeh amal 1 week jari rakhain.
- Kawal gandal Aloe Vera sir k becteria our fungus k liye booht mufeed ha so is ka jel sir main 40 minutes tak laga k dho lain. is se aap k sir ki fungus our becteria se saaf ho jaye ga.
Post A Comment:
0 comments: